By Priya
Zindgi Mere Ghar Aana
kbhi jab meri gali me aana ho to do pal nikalkar aey zindgi mere b ghar aana. pahchan k liye bta dun ki sare mohalle me sabse jarjar mkaan mera hi haur doorbell kaam nhi krti isiliye jab tum aao to saankal bja dena.
m tumhe apne khasthal makaan ka hometour karaunga.
aur uss din kuch khane ko mila to tumhe b khilaunga.
m dikhaunga tumhe ki tumhari di hui khushiyan mne ek chhote se dabbe me band kr k apne pass rkhi hui hn jinko kabhi boht zyada udas hone par kholkar dekh leta hun
m.
m btaunga tumhe ki tumhare diye gumon se mera poora ghar bhra hua h.
aur chhat se tapakti majbooriyan to tum khud hi dekh logi.
m tumhe apne ghr k uss koney me b le k jaunga jahan siskiyan baithkar roya krti hn. m tumhe apne ghr ki wo jagah b dikhaunga jahan mne apni duaon ko dafan kr rkha h. wse to m akela hi rhta hun haan par din me ek baar dhoop roshandaan me se jhankakr chali jati h.
aur ek baat to m btana bhool hi gya
mere ghr me ek ek kadam boht smbhalkar chalna
wo kya h na farsh par har samay mere tootey hue khwabon k tukde bikhre rhte hn
yun to m inhe roz saaf krta hun
par m kya krun
har roz ek nya khwab toot hi jata h aur bikhar jate hn fr se farsh par kuch tukde.
wse ab m soch rha hun ki in khwahishon ko b ek potli me bandhkar palang k neechey sarka dun. tum kya kahti ho?
Jab Tum aaogi Na To Ham bahut sari baten Karenge
bachpan ki baten
Jab Tum Har Waqt Mere Sath Raha karti thi ki Kis Tarah Ham donon Milkar Khushiyon ko hansaya Karte The
aur Chupke Se piche se Aakar udaasiyon ko daraya Karte They
par bde hokar pta nhi kyun tum mujhse naraz hoti chli gai.
mne tumhare sath kbhi kuch galat nhi kiya pr
fr b tumne har kadam par mujhe chhlana
shuru kr diya.
mne tumse koi shikayat b nhi ki or tumhe maaf b krta chla gya.
par tumne to apna mann bna liya tha n or ek din tum khushiyon k sath bhag hi gai. m tumhare aage kitna roya,gidgidaya,hath tak jode par na tum lauti aur na hi khushiyan. peechhey chhod gai to bs taqleefen or aansu jinhe aaj tak jhelta rhta hun m.
khair
tum aaogi to tumhe or b kai baatein btaunga. batao zindgi mere ghr aaogi kya???
By Priya
Comments